
:yaallah
GUNAHOON KI ADAT CHORAA MERE MOULA
Gunahoon ki adat choraa maire Moula
Mujhe naik insaan bana mairay Moula
Maire sabika her khata mairay Moula
To Rahmat say apne mita mairay Moula
To Qudrat say apne badal naikiyoon say
Her aik maire laghshis khata maiyay Moula
Jo Tujh ko jo Tairay Nabi
ko Pasand hai
Mujhe aisa banda bana mairay Moula
To Masjood maira mein sajid hoon Taira
To Malik mein banda Taira mairay Moula
Na Mohtaaj kar Tou jahan mein kisi ka
Mujhe moflisi say bacha mairay Moula
To matloob maira mein talib hoon Taira
Mujhe daiday apni wila mairay Moula
Hai Adooni Farman Quran mein Taira
To sun lay maire iltijaa mairay Moula
Mujhe bhe dikha day Tou Jalwa Nabi ka
Yahi hai maire iltijaa maire iltijaa mairay Moula
To lay ga agar adal say kaam apnay
Mein hoon mustahik naar ka mairay Moula
Tujhe wasita Taire Rehmat ka Ya Rab
Jahanum say mjh ko bacha mairay Moula
Jo Rahmat Taire shamile haal ho to
Thikaana hai Jannat maira mairay Moula
Jinhoon nay kaha hai duaoon ka mujh say
To kar day sabhi ka bhala mairay Moula
Hai Kaabe pay nazarein Obaide Raza ki
Ho maqbool her aik Dua mairay Moula
Gunahoon ki adat choraa maire Moula
Mujhe naik insaan bana mairay Moula