Hudood e tair e sidra Huzoor jante hain
Kahan hay arsh e mualla Huzoor jante hain
Pahunch ke Sidra pe rooh ul amin yeh bole
keh is se aage ka rasta bas Huzoor jante hain
baroz e hashr shafa'at kareinge chun chun ker
keh her ek ghulam ka chehra Huzoor jante hain
baroz e hashr shafa'at kareinge Aap lekin
agar huwa yeh aqeeda keh Huzoor jante hain
bula bhi sakte hain Aap aur aa bhi sakte hain
keh dooriyon ko mitana Huzoor jante hain
aapko khabar hay kahin se parho durood aap per
keh tamaam deher ka naqsha Huzoor jante hain
main is yaqeen se nikla hoon janib e Taiba
keh mere safar ka irada Huzoor jante hain
Qayamat aae gi kab Aap ko ilm hai sarwar
zahoor e kun ka bhi lamha Huzoor jante hain.
Bookmarks