Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
Jhuka o nazreen bicha o palkeen adab ka aala maqam aaya
-Yeh kawn sar se kafan lapei tey chala hai ulfat ke raatey par
Firishtey hairat se tak rahe hain yeh kawn ziii ehteram aaya
zahe muqaddar .
-Faza mein labbaik ki sadain zi farsh taa aarsh goonjhtii hain
Har eik qurban ho raha hai zaban pe yeh kiss ka naam aaya
zahe muqaddar
-Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya
zahe muqaddar
-Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
yeh kehna aaqa [ aaqa aaaaqa ]taraptey
Bulawe ke muntazir hai lekin na subho aaaya na shaam aaya
zahe muqaddar
-Dua jo nikli thi dil se aakhir palat ke maqbool ho ke aayee
Woh jazba jis mein tarap thi sachee woh jazba aakhir ko kaam aaya
Zahe muqaddar huzur-e-haq se salaam aaya payam aaya
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks